Har Lamha Mujhko Uski Kyun Aamad Ka Intizar
Har Lamha Ye Tanhai Kyun Meri Muntazar Hai?
Har Qadam Talashta Hai Uske Naqsh-E-Qadam
Har Qadam Ko Apni Hi Kyun Aahat Ka Dar Hai?
Har Zarre Me Mehsoos Karta Wo Ek Narmi
Har Zarre Ko Jo Dekhta Mutthi Me Bheenchkar Hai.
Har Hawa Me Dhundhun Mai Wo Khhushbu Wo Madhoshi
Har Hawa Ke Rukhh Pe Hi Maujood Ye Nazar Hai.
Har Kali Ko Tatolta Jo Ik Ghazab Nazakat
Har Kali Ko Dekhe Wo Labon Se Choomkar Hai.
Har Phool Ki Hansi Me Kya Nishan-E-Aashnai
Har Phool Ka Tabassum Hi Begana Bekhhabar Hai.
Har Raushni Me Dhundhun Mai Lasaani Noor Wo Hi
Har Raushni Ka Qatra Kyun Bhatke Dar-Ba-Dar Hai?
Har Tasveer Me Dekhoon Jaadu Bhari Wo Rangat
Har Tasveer Rangeen Hai Par Jaadu Beasar Hai.
Har Tabiyat Me Hai Na Wo Sharm-O-Haya, Adab?
Har Tabiyat Hi Aajkal To Besharm, Beqadar Hai.
Har Chandni Raat Bata Mujhe Raaz-E-Syaah Sehar
Har Chandni Raat Kahe Ki Un Zulfon Ka Hai Asar Hai.
Har Parde Me Chilman Nahin Sharmili Palkon Ki
Har Parde Me Hi Qaid Lekin Dilkash Patthar Hai.
Har Saaye Ke Hi Neeche Mehak To Hai Zulfon Ki
Har Saaye Me Jane Kyun Ghutan Ye Is Qadar Hai?
Phir Wahi Talaash Ik Jaari Hai Ai ‘Chaman’
Bhale Hi Na Kisi Ko Bhi Uski Kuchh Khhabar Hai.