Har Ghadi Har Lamha Ek Naya Imtehaan Hai,
Zindagi Zindagi Nahi Mere Liye To Jaise Jang Ka Maidaan Hai,
Dil Mai Jo Hai Jasbaat Kisi Ko Bataa Nahi Sakati,
Apane Dard-O-Gum Ke Ghaav Ab To Mai Kisi Ko Dikha Nahi Sakati,
Namak Itana Malaa Hai Ghaavon Pe Ke Marham Lagaane Ki Jagha Kahi Baaki Rahe Nahi Jaati,
Chaahati Hoon Khushiyaan Baantana Par Gum Ke Ilaawa Kisi Ko Kuch De Nahi Paati,
Dil Mai Hai Tadpan Itani To Aankhon Se Har Boond Aaj Kyon Bahe Nahi Jaati,
Mere Hi Sine Ki Jalan Aakhir Mujhe Khaakh Mai Kyon Nahi Milaati,
Peekar Bhi Apani Aankhon Ke Sailaab Ko Mai Gum-O-Ke Saagar Se Tair Ke Nikal Kyon Nahi Aati,
Banake Rahe Gai Jab Rang Aur Numaaish Ke Bazaar Ka Bas Ek Khilona Hi,
To Tu Toot Kar Bikhar Kyon Nahi Jaati,Is Duniya Se Door Kyon Nahi Jaati
To Ae “Gudia” Tu Aakhir Ab Zindagi Apani Chhod Kyon Nahi Jaati