Har Cheese Mil Jaye Jise Aisa Koi Insaan Nahi
Har Dum Jo Harta Jai Aisa Koi Banda Nahi
Jit Ki Kwaish Hai To Harne Se Inkar Na Kar
Marne Ke Darr Se Jivan Ko Yun Bekar Na Kar
To Kya Ager Sitaron Ki Roshni Kam Hai
Us Roshni Ko Dhak De Suraj Main Bhi Kahan Itna Dum Hai
Mana Ki Savera Hote Hi Chand-Tare Dhak Jate Hain
Asman Main Suraj Hi To Ata-Jata Hai Baki Sab Kahan Jate Hain
Har Pe Apni Afsos Na Kar
Jitna Hai To Kathinayion Ka Samna Kar
Waqt Kum Hai Jana Hai Bahoot Door
Lakhon Hai Musibaten Par Abhi Manjil Hai Bahoot Door
Is Tufan Bhari Raat Main Ummid Ka Diya Bujhne Na De
Manjil Abhi Aee Nahi‚  Apne Kadmon Ko Tu Rukne Na De