Hansta Hua Ek Pagal, Rota Hua Ek Pagal,
Dekhta Is Duniya Ko, Apni Najron Se Ek Pagal.
Ye Jante Hue Bhi, Koi Nahi Uska,
Duniya Main Hans Kar Jeeta Ek Pagal.
Chithadon Main Thand Se Thithurta Hua,
Tukdo Ki Talash Main Dar-Dar Bhatkta Hua .
Dekh Kar Apni Badhwasi Ko, Kabhi Roya Nahi Wo,
Dekh Kar Duniya Ki Halat, Hamesha Hi Roya Hai Wo.
Dekh Kar Uski Ye Halat, Na Jaane Kun Ye Lagta Hai Mujhe,
Deta Hai Dhanyavad Usko, Ki Teri Maya Ka Main Hisa Nahi.
Hairan Karti Hain Uski Batein, Jo Samjh Main Na Aaye,
Pahchaan Kar Uski Yaadein, Har Kisi Ki Ankh Bhar Aaye,
Sayad Dhundla Sahil Hai Wo, Jo Apne Hi Toofan Main Beh Gaya,
Ya Tapta Suraj Hai Wo, Jo Apni Hi Saghan Tapti Lapto Main Jal Gaya.
Jeete Ji Duniya Main Jisne Apna Astitv Khoa,
Wahi Dosto Is Duniya Main Pagal Kahlayaa.
Ankur Sharma