Hansi Labo Pay Sajaye Udas Rehta Hay
Ya Kaun Hay Jo Mery Ghar Ke Pass Rehta Hay
Ya Aur Bat Ki Milta Nahee Koi Is Say
Magar Woh Shakhs Srapa Spas Rehta Hay
Jehan Pay Doob Gaya Meri Aas Ka Suraj
Usi Jaga Woh Sitara Shanas Rehta Hay
Likhi Hay Kis Nay Ya Tehreer Rag-E-Sahil Per
Bahout Dino Say Samandar Udas Rehta Hay
Guzar Ra Ha Hon Suda Garon Ki Basti Say
Badan Pay Dekhiya Kab Tak Libas Rehata Hay
Mein Wehshaton Kai Safar Min Bhi Kahan Tanhan
Yahi Guman Hay Koi Aas Pass Rehta Hay
Mein Guftugo Kai Her Undaz Ko Samhajta Hon
K Meri Zat Mein Lehjaye Shanas Rehta Hay
Woh Faslon Meib Bhi Rakhta Hay Rang-E-Qurbat Kai
Nazar Say Dur Sahee Dil Kai Pass Rehta Hay
Jab Is Say Guftugu Karta Hay Koi Bhi Mir
Ik Iltimas Pas-E-Iltimas Rehta Hay