Hamne Kab Raston Se Hataye Kadam, Hamne Kab Manzilo Ko Pukara Na Tha
Phir Bhi Nazdik Aake Palatna Pada, Teri Zanib Se Koi Ishara Na Tha
Sarparasti Kabhi Ras Ayee Nahi, Razdan Bhi Sitaro Mein Gum Ho Gaye
Phool Gulshan Mein Lakho Khile To Magar, Hamko Mahfil Sajaana Ganwara Na Tha

Apni Barbadiyon Ki Kasam Hain Tuje Dil Mere Muskara Yun Na Ansoo Baha
Ham To Lachar The Teer Khaya Kiye, Doston Ki Wafa Ka Sahaara Na Tha
Katre Katre Mein Teri Jhalak Dekhte, Zindagi Ke Samandar Mein Bahte Rahe
Tujko Pane Ki Khwahish Musalsal Rahi, Apni Hi Kismet Mein Lekin Kinara Na Tha
Khak Chani Hai Bhatka Kiye Darbadar, Teri Chahat Ka Daman Sambhale Hue
Ab Bhi Hai Aas Ki Lou Jalaye Hue, Sabra Ka Kaun Kahta Hai Chara Na Tha
Hijr Ka Zahar Pite Rahe Raat Din, Ham Ki Kiston Mein Jite Rahe Raat Din
Tere Aage Bhi Daman Pasara Nahi, Ishq Par Aanch Aaye Ganwara Na Tha
Neela Akash Taron Ki Mala Liye, Jagmagata, Chamakta Raha Raat Bhar
Hamne Dhundha Bahut, Hamne Khoja Bahut, Apni Kismet Ka Koi Sitara Na Tha