Hamko Maaloom Naheen Hai, Kaisey,
Ham Kahaan Sey Kahaan Chaley Aaye?
Na Yahaan May Hai, Na Saaqee, Ya Rub!
Ham, Kahaan Sey Yahaan Chaley Aaye?
Na Yahaan Gul Hain, Na Bulbul Hai, Na Baad-E-Mashriq!
Bagbaan Hai Udaas, Kyaa Karey, Kahaan Jaaye?
Na Yahaan Tum Ho, Na Khushboo Hai Tumhaaree Hur Simt:
Aab Hi Aab Hai Har Soo, Nazar Jahaan Jaaye!
Rukeyn To Kiskey Liye? Ya Chalein To Kiskey Liye?
Isliye Chaltey Chalo, Aasmaan Jahaan Jaaye!
Usee Key Waasitey, Woh Zouq-E-Safur Kurtey Hain:
Jo, Unko Saath Liye, Door Tak Wahaan Jaaye!
Kisee Ney Aaj, Kaheen Sey Jigar Mein Jhaankaa Hai:
Aaj Mujhsey, Na Yahaan, Na Wahan Ruhaa Jaaye!
Tooney Kab, Kyaa Kahaa,’Abd’, Hamain Naheen Maalum!!
Humko Maaloom Naheen, Kaisey Kyaa Kahaa Jaaye?