Hamein Apna Aks Bhi Dhundla Sa Nazar Aata Hai,
Jab Aine Mein Uss Shaks Ki Parchai Nazar Nahi Aati,
Dunia Maa Keh Ke Pukarti Hai Usse,
Jiske Kadmon Se Badkar Hamein Koi Jannat Nazar Nahi Aati,
Har Khushi Hasil Karke Jo Khud Se Hi Khush Hota Hai,
Nadan Hai Wo Jise Maa Ki Wo Dua Nazar Nahi Aati,
Kisi Ko Dunia Ki Daulat Se Mohobbat, Kisi Ko Aisho-O-Aram Se,
Kisi Ko Apni Shohrat Se Mohobbat, Kisi Ko Apne Mukam Se,
Khwaishon Ki Bhid Mein Gumrah Hai Wo Inasan,
Jise Apne Hi Wajud Ki Parchai Nazar Nahi Aati,
Dunia Maa Keh Ke Pukarti Hai Usse,
Jiske Kadmon Se Badkar Hamein Koi Jannat Nazar Nahi Aati,
Thokar Lagte Hi Jisne God Mein Utha Liya,
Dunia Ki Bhid Se Daman Mein Chupa Liya,
Hamari Ek Muskurahat Ke Khatir Jisne Apna Har Gam Bhula Diya,
Khud Mar Mar Ke Hamein Jina Sikha Diya,
Q Aulad Ko Us Maa Ki Wo Khalish Nazar Nahi Aati,
Uske Sine Mein Dafn Khushiyo Ki Parwah Nahi Aati,
Dunia Maa Keh K Pukarti Hai Usse.

By Shabaaz