Hame Milke Sapne Ye Dhikhatey Hain
Duur Jaake Jaane Kitna Tadpaatey Hain
Duniya Walo-‘n Se Kab Tak Bachey Hum Dosto
Pyaar Wale Bhii Aaj Kal Pyaar Ko Aajmaatey Hain
Mausam Badalta Hai Log Bhii Badal Jaatey Hain
Waqt Ke Saath Kya Kuchh Armaan Bhii Badal Jaatey Hain
Aankhoon Mein Sapney Hajaron Rehtey Hain Magar
Kuch Khushk Sulagathey Aansu, Machal Hii Jaatey Hain
Hontho Kii Hasi Se Jaahir Hain, Khush Khush Hum Rehtey Hain
Dil Betaab Rehta Hain, Jaane Kyu Parwano Kaa
Chuptey Chupaye Chale Aaye, Gum Kii Duniya Se Hum Dosto
Jaane Kya Ant Hai, Hum Jaise Deewano Ka
Dil Par Pehra Hai In Duniya Walon Ka
Aayainge Wo Pal Bhi, Kehna Hai Kuch Agley Saalon Kaa
Aaaj Ka Thikana Nahi, Kal Kii Kisko Khabar
Kaun Dega Hissaab, In Ashk Mein Dubey Rumalon Kaa