Hamari Basti Mein Akar Hamara Ghar Jalane Wale
Hamre Mohsin Apne Dost Hamare Chahne Wale
Kaya Kaya Apni Sakhawet Ki Ujret Talab Kerte Hain
Vohi Hamare Hathon Mein Kashkol Thamane Wale
Yeh Kherati Mae Dukhter-E-Raz Nahi Laho Hey Apnon Ka
Ham Badmast Piye Jate Hain Makar Maekhane Wale
Ab Dalo Hamain Lahoo Mein Bighoey Tukerey Ham Terey Sag
Aadat Hamari Tou Biger Gayi Ab Ham Nahin Kahin Janey Wale
Hum Ney Ujla Damen Phelaya Payey Kuch Lahoo Alood Sikey
Aur Kaya Dain Gey? Ham Abhi Bhi Hain Daman Phelaney Wale
Hum Ney Bech Dali Pehchan Ikhtayar Aur Apni Adna Si Izat
Kuch Shatir They Kuch Hawi They Hamara Dam Laganey Wale