Hama-Waqt Ranj-O-Malaal Kia, Jo Guzar Gaya Su Guzar Gaya
Ussay Yaad Ker Ke Na Dil Dhuka, Jo Guzar Gaya Su Guzar Gaya
Na Gila Kiya Na Khafa Hoay, Yunhi Raastay Se Judaa Hoay
Na Tu Be-Wafa Na Mae Be-Wafa, Jo Guzar Gaya Su Guzar Gaya
Wo Ghazal Ki Aik Kitaab Tha, Wo Gulo`n Mein Aik Gulaab Tha
Zara Dair Ka Koi Khwaab Tha, Jo Guzar Gaya Su Guzar Gaya
Mujhe Pat-Jharo`n Ki Kahaniya`n Na Suna Suna Ker Udaas Ker
Tu Khaza`n Ka Phool Hai Muskura, Jo Guzar Gaya Su Guzar Gaya
Wo Udaas Dhoop Samait Ker Kaheen Wadiyon Mein Uter Chuka
Ussay Ab Na De Mere Dil Sada, Jo Guzar Gaya Su Guzar Gaya
Ye Safr Bhee Kitna Taweel Hai, Yahan Waqt Kitna Qaleel Hai
Kahan Lout Ker Koi Aay Ga, Jo Guzar Gaya Su Guzar Gaya
Wo Wafayein Theen Ke Jafayein Theen, Na Soch Kis Ki Khatayein Theen
Wo Tera Hai Usay Galay Laga, Jo Guzar Gaya Su Guzar Gaya
Koi Farq-E-Shah-O-Gada` Nahi, Yahan Kissi Ki Baqaa Nahi
Y E Ujaar Mehlo`n Ki Sun Sada, Jo Guzar Gaya Su Guzar Gaya
Tujhe Aetbaar-O-Yaqeen Nahi, Nahi Duniya Itni Buri Nahi
Na Malaal Ker Mere Saath Aa, Jo Guzar Gaya Su Guzar Gaya