Ham Se Hota Kisi Maqul Bahanay Se Alag
Ham Ne Chaha Thaa Jisay Saaray Zamaanay Se Alag
Ham Se Bichhra To Khula Bhaid Ye Ham Per, Ik Shakhs
Apnay Ghar Se Hi Nahin, Thaa Wo Gharaanay Se Alag
Tujh Se Wabasta Tha Kia Dil Ka Sabhi Chaen O Qaraar
Dil Hua Mujh Se Tiray Chhor Ke Jaanay Se Alag
Mujh Se Kaisa Jura Baithha Tha Woh Tareeki Mein
Na Gahaan Ho Gia Ik Shama Jalaanay Se Alag
Ghar Ki Taqseem Se Hota Nahin Taqseem Lahu
Bhai Hotay Nahin Deewar Uthhaanay Se Alag
Chaen Lainey Na Dia Gardish-E-Dauraan Ne Mujhey
Maera Qissa Hai Mohabbat Ke Fasaanay Se Alag
Tanz Ka Teer Nishaanay Pe Hi Lagta Hai Sada
Phhainka Jaye Ye Kahin Khaah Nishaanay Se Alag
Yun To Her Shehr Nain Dikhlaaye Kaye Khaab Mujhey
Teri Basti Ke Thi Kuch Khaab Suhaanay Se Alag
Us Ke Mala Mein Thaa Ik Ganj-E-Jawaahar Ali
Khaal-E-Rukhsaar Ka Moti Thaa Khazaanay Se Alag