Ham Bade Kahaan Ho Paate Hain
Ham Chhote Hi Reh Jaate Hain
Koi Ham Ko Tadpaata Hai‚  Ham Tadad Tadap Se Jaate Hain
Koi Ham Ko Bhadkaata Hai Ham Bhadak-Bhadak Se Jaate Hain,
Ham Bade Kahaan Ho Paate Hain
Ham Chhote Hi Reh Jaate Hain
Ham Bhari Dopeher Sote Hain Or Raatein Jaag Bitaate Hain
Jaane Kya Hai Bheetar-Baahar‚  Har Chor Se Jise Bachaate Hain,
Ham Bade Kahaan Ho Paate Hain
Ham Chhote Hi Reh Jaate Hain
Ye Tera Hai Wo Mera Hai Seekha Hai Yehi Sab Bachpan Se
So ‘Maa’ Ko Mai Rakh Leta Hoon Or Bhaai‚  Pita‚ ‚  Le Jaate Hain,
Ham Bade Kahaan Ho Paate Hain
Ham Chhote Hi Reh Jaate Hain
Jo Kismat Se Mil Jaata Hai Ham Usko Bhog Nahi Paate Hain
Jo Paas Kisi Ke Dikhta Hai Bas Usko Paana Chaahte Hain,
Ham Bade Kahaan Ho Paate Hain
Ham Chhote Hi Reh Jaate Hain
Har Ek Hame Bas Sunta Ho Ham Kahaan Kise Sun Paate Hain
Bas Baat Hamaari Maane Sab‚  Ham Eise Apne Chaahte Hain,
Ham Bade Kahan Ho Paate Hain
Ham Chhote Hi Reh Jaate Hain
Mann Apna Hi Kuchh Meila Hai Ham Tan Chamkaate Jaate Hain
Bas Bhook Basi Hai Tan-Dhan Ki Or Khud Ko Tript Batlaate Hain,
Ham Bade Kahan Ho Paate Hain
Ham Chhote Hi Reh Jaate Hain
Kahaan Rishte-Pyaar Samajhte Hain .Ham Soude Karte Jaate Hain
Gar Dete Bhi Hain Kuchhh Ham To Waapas Bhi Paana Chaahte Hain,
Ham Bade Kahaan Ho Paate Hain
Ham Chhote Hi Reh Jaate Hain
Ey Chaand‚  Aaina Na Ban Tu Ham Sach Kubool Na Paate Hain
Oron Ki Baat Na Chhedo Dil‚  Ham Khud Bone‚  Reh Jaate Hain
Ham Bade Khaan Ho Paate Hain
Ham Chhote Hi Reh Jaate Hain