Halka Gulaab, Shabnam Ki Sharaab, Zulf Gaalon Se Takraayi Thi
Khwaab Nahi, Ek Khushbu Thi, Woh Meri Gali Mein Aayi Thi
Chudiyon Ki Khanak, Khamosh Chubhan, Sargoshi Si Kuch Chaayi Thi
Khwaab Nahi, Ek Khushbu Thi, Woh Meri Gali Mein Aayi Thi
Nirmal Jal, Badal Ki Chata, Odhni Hawa Main Lehrayi Thi
Sehra-E-Dil Main Jaise Koi Murat, Bijli Ban Utar Aayi Thi
*Fasl-E-Gul Ke Mausam Mein, **Kohre Ko Cheerte Aayi Thi
Nazuuk Se Badhte Kadmon Se, Hulchul Si Ek Machaai Thi
*Spring **Mist
Phool Si Mili, Kali Si Khili, Hijaab-E-Husn Pe Lali Chaayi Thi
Jheel-E-Nazar Jhuki Hui Palke, Laal-E-Lab Mand Mand Muskayi Thi
Usne Bhi Dekha Tha Mujhko, Baat Nazron Par Ban Aayi Thi
Honthon Ki Halki Ahat Se, ‘Suniye’ Awaaz Si Aayi Thi
Aawaz Ki Bareeki, Hoton Ki Mehak, Aisi Usne Bikhrayi Thi
Khwab-O-Khayal Ki Rut Si Ban, Meri Nazar Main Samayi Thi
Hairaan Nazar Se Mudkar Jo Dekha, Meri Hi Kismat Chaayi Thi
Khwaab Nahi, Ek Khushbu Thi, Woh Meri Gali Mein Aayi Thi
Haathon Mein Kagaz Sa Tha Kuch, Gum Si Thi Ghabraayi Thi
Phir Bhi Jaane Suraj Si Kirno Ka, Noor Kaha Se Laayi Thi
Lab Hile Phir Kano Mein, Kook Kisi Koyal Ki Aayi Thi
Yahin Kahin Par Kisi *Farrukh Ki, **Talab Itna Rang Laayi Thi
*Lucky **Search/desire
Bade Irade Dil Se Lagaye, Sath Kuch Pal Ek Rah Bitaayi Thi
Usman Chacha Ke Ghar Ki Aur, Ishare Main Ungli Uthayi Thi
Bahar Gaya Kundi Khadkaayi, Chachi Use Lene Aayi Thi
Bichad Gayi Milne Se Pehle, Dard-E-Dil Ki Hadd Ban Aayi Thi
Doori Badhi, Apne Darmiyan, Rukhsati Ki Ghadi Aayi Thi
Salam Keh Palta, Sehra-E-Dil Ki Sookhi Ret Gili Ho Aayi Thi
Num Aankhon Se Behta Tha Paani, ‘Mast_pyar’ Ne Zindagi Chahi Thi
Itne Mein Phir Hairat Se Jaaga, Dekha Subah Ho Aayi Thi
Aapne Sar Par Haath Tha Maara, Halki Muskaan Si Aayi Thi
Khwaab Bhi Tha Aur Khushbu Bhi Thi, Woh Meri Gali Mein Aayi Thi
Ek Kissa Yun Bana Tasawwur, Phir Humko Neend Naa Aayi Thi
Khwaab Bhi Tha Aur Khushbu Bhi Thi, Woh Meri Gali Mein Aayi Thi
Khwaab Bhi Tha Aur Khushbu Bhi Thi, Woh Meri Gali Mein