Hairat Se Sare Lafz Ussay Dekhte Rahe,
Baton Main Apni Baat Ko Kaise Badal Gaye.
Kehne Ko Ek Saihan Se Diwar Bani Hai,
Ghar Ki Fija Makan Ka Naksha Badal Gaya.
Shayad Wafa Ke Khel Main Ukta Sa Gaya Tha Voh,
Manjil Ke Pass Aa Kar Woh Rasta He Badal Gaya.
Kayam Kisi Bhi Haal Yeh Duniya Na Rahi,
Tabir Kho Gaye Kbahi Sapna Badal Gaya.
Manjar Ka Rang Asal Main Saaya Tha Rang Ka,
Jis Ne Ussay Jidhar Se Bhi Dekha Badal Gaya.
Ander Ke Mausam Ki Khabar Usko Ho Gaye,
Husano Bahaar Naaz Ka Chehra Badal Gaya.