Hai Ekk Sawaal Dost Mera Tujhsse
Kyaa Rakhaa Hai Iss Dunniya Mein
Jo Jee Rahaa Hai Tu Yahan Marr Marr Ke
Chall Sangh Mere Nahi Dunniya Mein
Kyaa Rakhaa Hai…
Jalte Suraj Ki Tapan Mein
Barfili Pahadiyon Ke Kapan Mein
Sunsan Gufaon Ke Ghutan Mein
Jungle Ke Bhayanak Andhere Mein
Aaja Mere Sang E Dost Mere
Sangh Chal Dikhaon Duniya Nayi Tujhe
Aaja Apne Sapne Yahan Jee Le
Woh Sapne Jo Kabhi Na Ho Sake Purre
Ek Rang Birangi Duniya Layaa Hoon
Dunniya Jo Sirff Khwabon Mein Hoti Hai
Magarr Yeh Khwabb Nahi Buss Sachai Hai
Khoobsurat, Mann Mohak Aur Jaadu Bhari Hai
Maut Mere Dost, Mein Nahi Aa Sakta
Bahut Kuch Hai Baki Karne Ko
Bahut Kuch Hai Abhi Paane Ko
Bahut Raste Hain Tai Karne Ko
Dost, Abhi To Suraj Sirf Uga Hai
Aur Raat To Bahut Durr Hai
Abhi To Raah Par Chalna Shuru Kiya Hai
Maut Mere Dost, Zindagi To Ab Shuru Hui Hai