Hai Bas Ki Har Ik Unke Ishaare Mein Nishaan Aur
Karte Hain Muhobbat To Guzarata Hai Gumaan Aur
Yaara ! Wo Na Samjhe Hain Na Samjhenge Meree Baat
De Aur Dil Unko, Jo Na De Mujhko Zubaan Aur

Abroo Se Hai Kya Us Nigah-E-Naaz Ko Paiwand
Hai Teer Muqarrar Magar Uskee Hai Kamaan Aur
Tum Shahar Mein Ho To Hamein Kya Gham ? Jab Uthenge
Le Aayenge Baazaar Se Jaakar Dil-O-Jaan Aur
Harchand Subak_dast Hue But_shikanee Mein
Ham Hain, To Abhee Raah Mein Hai Sang-E-Giraan Aur
Hai Khoon-E-Jigar Josh Mein Dil Khol Ke Rota
Hote Kaee Jo Deeda-E-Khoonnaaba_fishaan Aur
Marta Hoon Is Aawaaz Pe Harchand Sar Ud Jaay
Jallaad Ko Lekin Wo Kahe Jaayain Ki ‘Haan Aur’
Logon Ko Hai Khursheed-E-Jahaan Taab Ka Dhoka
Har Roz Dikhaata Hoon Main Ik Daagh-E-Nihaan Aur
Leta, Na Agar Dil Tumhe Deta, Koee Dam Cheinn
Karta, Jo Na Marta Koee Din, Aah-O-Fughaan Aur
Paate Naheen Jab Raah, To Chad Jaate Hain Naale
Ruktee Hai Meree Tab’a To Hotee Hai Ravaan Aur
Hain Aur Bhee Duniya Mein Sukhanwar Bohot Achche
Kehte Hain Ki ‘Ghalib’ Ka Hai Andaaz-E-Bayaan Aur