Had -E- Nigah Tak Waki Jahan Tanhai Hai;
Zindagi Jane Humein Kis Jagah Pe Lai Hai.
Khamosh Hoker Baith Gaya Hoon Mai Harker;
Khud Apni Hi Kuwwat Na Apne Kaam Aai Hai.
Uthker Dareeche Se Gali Mein Jhank Lete Hain;
Jab – Jab Tere Si Payal Ki Aawaj Aai Hai.
Hua Hai Mujhko Unki Naram Ungliyon Ka Guma.N;
Ye Hawaa Shayad Un Hathon Ko Chhooke Aai Hai.
Abhi Ghabrata Hai Wo Mere Pas Ane Se;
Abhi Us Sakhs Se Kuchh Taza Sanashai Hai.
Humare Rabiye Se Hai Her Dost Paresha.N ;
Kya Karein Humne Kuchh Fitrat Hi Aisi Pai Hai.
Hum Jiske Bhi Rehbar Hue To Rooh Tak Gaye;
Smjha Na Koun Dost Hai Ya Koun Bhai Hai.
Kab Se Teri Firak Mai Baithe Hain Mastghan;
Tu Aai Hai Na Teri Koi Khabar Aai Hai.