Haathon Ki Lakeeren Likhne Wale ,Mere Aansu Mujhko Dhundh Ke La De
Kaun Sa Din Mukarrar Kiya Hai Meri Maut Ka, Mujhe Itna Batla De
Mere Aansu Mujhko Dhundh Ke La De
Pehle To Ye Aa Jaate Thi, Aksar Mere Bina Bulaaye
Ab Mai Inki Raah Takqta Hun,Apne Gum Ko Gale Lagaaye
Jab Meri Hui Thee Gum Se Shaadi, Aansu Thi Mere Baraati
Ab Shayad Wo Ruth Gaye Hain, Ya Phir Piche Chod Gaye Hain
Main Dard Ki Basti Mein Janma Hun, Aansu Na Ho To Main Tanha Hun
Mujhse Mere Ye Dost Mila De Haathon Ki Lakeeren Likhne Waale
Mere Aansu Mujhko Dhundh Ke La De
Mujhe Yaad Hain Wo Jaade Ka Mausam, Jab Baras Rahe Thai Gum Ke Badal
Mera Saath Diya Thaa Behne Mein, Jab Khalish Thee Zinda Rehne Mein
Aaj Phir Wo Hi Mausam Lauta Hai, Iss Baar Magar Ye Dil Tanha Hai
Zindgi Ek Baar Phir Gumzada Hai, Magar Aansu Aankh Se Gumshuda Hai
Haathon Ki Lakeeren Likhne Waale, Mere Aansu Mujhko Dhundh Ke La De
Ya Phir Mere Haath Jala De Kaun Sa‚  Din Makarrar Kiya Hai
Meri Maut Ka, Mujhe Itna Batla De‚  Mere Aansu Mujhko Dhundh Ke La De