Haath Mein Lee Hai Kalam
Soctha Hun Kya Likhun
Apni Dard Barri Dastan
Yaa Waqt Ke Zurmon K Barre Mein Likhun
Sochta Hun Likhu To Kya Likhu
Kabhi Kabhi Khwaalon Mein Kho Jata Hun
Kabhi Kabhi Apni Hi Gali Mein Kho Jata Hun
Dil Ke Ehsaason Ko Samjana Muskil Ho Gaya
Aaiyna* Dekhta Hun, To Khub Mein Kahin Kho Jata Hun
Kyun Hun Main Aaj Itna Tanha
Kyun Itna Azaab Hai Zindagi Mein
Zindagi Gujar Gayi Khushion Ko Dundte Dundte
Kaun Jaane Kya Likha Hai Meri Taqdeer Mein
Jaine Kyun Main Aisha Likh Raha Hun
Kya Gum Hai Jisse Main Chupa Raha Hun
Elfaaj Nahi Mile Rahe, Nahi To Bayan Karun Dard Ko
Kyun Main Aaj Apno Se, Dhoor Jaa Raha Hun
Aankhon Mein Aab Vo Chamak Nahi Rahi
Labon Par Abb Wo Pyaari Baatein Nahi Rahi
Maine Khud Ko Zakhmi Kiya Aishe
Mere Zakhmo Ki Nishani Nahi Rahi
Gire Aansuon K Bare Mein Likhta
Dard Se Marte Dil Ke Bare Mein Likhta
Kalam Mein Shahi Nahi Rahi Ae Dosto
Warna Main Apni Aakri Saanson K Barre Mein Liktha
Bagawat Kardi Is Kalam Ne
Warna Main Apni Aakri Khwaaissh Likhta
Rehti Agar Todi Si Shahi Isme
Main Tarana Apni Zindagi Ka Likhta
Tumhe Samaj Aah Jaati Dastan Meri
Liktha Main, Kuch Is Tarah
Nah Chahte Hue Tum Rok Sakt
Tumhari Aankh Mein Aansu Baar Aate Is Tarah
Shahi Rehti To Main Kuch Aur Likhta
Saanse Rehti To Main Thoda Aur Jeeta
Andhera Cha Raha Hai Charo Taraf
Shahi Hoti To Main Andhere Par Liktha