Haalaat Kabhi Bante Or
Ban-Ban Ke Bigar Jaate The,
Hum Sochte The, Kabhi To Badlega Waqt
Bas Isi Ummeed Me
Din Maheene Or Saal Gujar Jaate The,
Na In Kataaron Se Nizaad Mili Hamko
Na Koi Manjil Hi Paa Sake,
Roti Ki Jad.Do Jehed Ke Chalte
Hum Aashiyaana Tak Na Bana Sake,
Wo Aksar Puchte Rahe
Meri Tanhaai Ka Sabab Mujhse,
Ek Hum The Ke Sharmsaari Ke Chalte
Dil Khol Ke Chillaa Bhi Na Sake,
Badi Mushkil Se Dil Lagaate The
Gunaah Jaise Hi Usko Chhupaate The,
Wo Aksar Meherbaan Bhi Hote
Or Meri Khaamoshi Dekh Chupke Se Nikal Jaate The,
Andaaz Yoon Juda Tha Apna
Ummeed To Khuda Se Bhi Na Rakhi Hamne,
Khud Hi Sambhalte Rahe Gir Gir Kar
Haalaat Se Badrang Is Chehre Me Wo
Chaand Si Rangat Kahaan Se Paate,
Kabhi Jamaane Ki Ayyaari To Kabhi
Apne Hi Jazbaaton Se Ladte Rahe,
Kambakht Khwaab Ab Bhi Hai Aankhon Me
Jabki Har Baar Ye Taash Mehel Se Bikharte Rahe