Guzrein Hum Agar To, Kab Tak Muhn Apna Yun Moda Karogi
Phir Dareechiyon Se Chori Chupe, Kab Tak Humein Tum Dekha Karogi
Jo Di Thi Kabhi – Kho Gayi, Beshak Jooth Tum Kehti Rehna
Magar Tasveer Meri Seene Se Laga, Kab Tak Aahein Tum Bhara Karogi
Har Shaayar Ko Kar Badnaam, Beshak Meri Kalpana Se Jalti Rehna
Magar Kagaz Jispe Likhi Thi Ghazal, Kab Tak Meri Behne Se Maanga Karogi
Kahin Tumhein Bula Na Loun, Beshak Mujhse Tum Darti Rehna
Magar Man-Hi-Man In Baahon Mein, Kabtak Apne Aap Ko Khoya Karogi
Keh Umr Hai Choti, Beshak Bahana Tum Banati Rehna
Magar Dar Dar Kar Yun, Kabtak Jawaani Ka Intezaar Karogi
Laal Rang Bhaata Hai Tujhe, Kabhi Apne Gaalon Pe Lagaya Karogi
Magar Labon Pe Apne, Kab Tak -ŗkaran- Naam Sajaya Karogi
Us Parde Ke Peeche, Beshak Apne Jazbaaton Ko Chupaati Rehna
Magar Dabe Swar Mein Yaad Kar Meri, Kab Tak Akele Muskuraya Karogi