Gumnaam Ho Jaayein To Achha Hai
Hum Kahin Kho Jaayein To Achha Hai
Niraash Hone Ki Aadat Na Thi Magar
Ab Hataash Ho Jaayein To Achha Hai
Yeh Socha Hi Nahin Ki Begunaahi Ka
Humse Bhi Sabab Poocheinge Sabhi
Sawaalon Ke Ghero Mein Koi Khud
Apna Jawaab Ho Jaayein To Achha Hai
Chehre Ko Sehaj Bana Kar Rakha Sada
Laakh Bhawar Beshak Guzre Yahan Se
Ginne Hi Na Humne Ashkon Ke Mausam
Ab Iska Hisaab Ho Jaayein To Achha Hai
Patthar Dekhe Hai Dosto Ke Haaton Mein
Khanjar Mehsoos Kiye Hai Baaton Mein
Jeena Lagne Laga Jo Duswaar To Socha Kiye
Kaash Hum Laash Ho Jaayein To Achha Hai
Ungliyaan Uthne Lagi Hai Dekhiye To Zara
Khushion Par Bhi Jaise Koi Pehra Laga Hai
Hans Kar Jee Chuke Tujhe E Zindagi Bahut
Bas Ab Udaas Ho Jaayein To Achha Hai