Gum Ko Kalam Par Likhne Ki Bhi
Na Ab Himmath Meri Kya Mein Karon
Aesi Hai Zindagi Meri
Cheerti Hai Dil Ko Yaadein Teri
Num Hai Aankhien Intazaar Mein Teri
Dard Aesa De Kar Tu Chali Gayi
Ki Hasni Bhi Hasti Hai Mujh Par Meri
Duniya Mein Reh Kar Bhi Hoon Mein Tanha
Tere Bin Duniya Hai Suni Meri
Kya Mein Karon Aesi Hai Zindagi Meri
Bas Kuch Pal Mein Batt Gayi Hai
Ab Yeh Duniya Meri Kab Chhod Donga Jina
Yeh Mujhe Pata Nahi
Bas Zinda Hoon Tere Intazaar Mein
Rakh Kar Yeh Umeed
Ki Aayegi Kushi Wapas Meri
Waqt Ka Dosh Tha Par Saja Mujhe Mili
Aesi Hai Zindagi Meri Hason Ya Rooun
Aesi Zindagi Par Yeh Mujhe Pata Nahi
Teri Yaad Mein Jagoon Ya Sooun
Yeh Mujhe Pata Nahi Hai Bas Itna Pata
Ki Ji Raha Hoon Us Dua Mein
Jo Na Hogi Kabool Kabhi Meri
Kudh Ko Dard Dene Mein Jane Kya Maza Hai
Shaya Yahi Meri Saza Hai
Gum Ko Kalam Par Likne Ki Bhi
Na Ab Himmath Meri Kya Mein Karon
Aesi Hai Zindagi Meri