Gum Ke Saaye Badhe Aate Hai Kisi Kaatil Ki Tarah
Dard Mein Dooba Hoon Mein Kisi Saahil Ki Tarah
Koi Bhi To Aisa Nahin Jis Se Keh Sake Haal-E-Dil Ham
Aaj Apne Hi Door Dikhte Hai Kisi Manzil Ki Tarah
Mere Muqadar Mein Bebasi Ke Siway Kuch Bhi Nahin
Haath Ki Lakeeron Ko Padhta Hoon Kisi Zaahil Ki Tarah
Andherein Mujh Ko Kya Darayenge Raah-E-Zindagi Mein
Mere Dil Ka Har Daag Roshan Hai Kisi Mehfil Ki Tarah
Gam Ke Saagar Mein Kuch Yun Ham Doobe Hai Kureel
Khushi Ke Katre Se Bhi Khauf Khate Hai Kisi Buzdil Ki Tarah