Gum Ke Andhere Jo Had Se Badhne Lage,
Hum Daag-E-Dil Ko Kishton Mein Jalate Hain.
Mayus Zindaagi Kee Bechain Veeraniyon Ko,
Teri Yaad Ke Phoolon Se Mahkaate Hain.
Soonsaan Vaadiyon Mein Ekk Baar Aa Ke Hanss Gaye,
Fir Dhundha Kai Baar, Par Wo Naa Nazar Aate Hain.
Ye Patjhad Ke Beghairat Patte,
Teri Payal Kii Jhankaar Sunate Hain.
Aaj Fir Chali Hain Saba Tere Shahar Kii Jaanib Se,
Mahsus Tujhe Karne Hum Galiyon Mein Aa Jate Hain.
Waada Raha ‘Farha’ Kii Ab Naa Chahenge Tumhe,
Ye Aansu Hain Kambakht, Palkon Pe Aa Jate Hain