Girta Hoon Ager Main To Sanbhal Kyou Nahi Jata
Othta Houn To Girnay Ka Amal Kyoun Nahi Jata
In Cheekhti Khamoshiyoun Ko Choadh Ker Kabhi
Tanhaiyoun Kay Ghar Say Nikal Kyoun Nahi Jata
Woh Roz Zakhm Day Raha Hai Mustaqil Mujhay
Lamha Hai To Phir Khud He Badal Kyoun Nahi Jata
Ibrat Kay Khaof Nay Mujhay Marnay Nahi Diya
Yeh Dar Meray Seenay Say Nikal Kyoun Nahi Jata
Ansu Ki Shakal Khoon-E- Jiger Ankh Say Behker
Her Gum Ki Terha Yeh Bhi Pighal Kyou Nahi Jata