Gir Gir Ke Mere Humwatan Sambalte Hai
Ye Kafile Zindagi Ke Phir Bhi Chalte Hai
Jab Jab Bhi Jalate Hai Serfire Ye Basthiyon
Kitne Muflison Ke Dham Yahan Nikalte Hai
Lachari Main Tadpati Huyee Bhook Ke Haathon
Jism Kitne Yahan Khudon Per Bhi Palte Hai
Dekh Chithadon Main Gabrati Huyee Jawaniyan
Badh-Nigahon Main Hawas Ke Diye Jalte Hai
Beyimano Ka Kya Naam Aur Shaan Hai Yahan
Usool Wale Sada Kanton Per Hi Chalte Hai
Maine Toh Nahi Dekhi Yahan Sone Ki Chidiyan
Basere Kargaso.N Ke Haa.N Zarur Milte Hai
Aasoo Pochna Toh Inke Rahe Dhur “Roja”
Yahan Mufliso.N Ko Bewajah Masalte Hai..