Ghataaon Kii Udaasii Pii Rahaa Huun
Main Ek Gehraa Samandar Ban Gayaa Huun
Terii Yaadon Ke Angaaron Ko Aksar
Tasavvur Ke Labon Ko Chuumtaa Huun
(Tasavvur : Imagination)
More…Ko-‘ii Pehchaan-Ne Vaalaa Nahiin Hai
Bhare Baazaar Men Tanhaa Kharaa Huun
Meraa Qad Kitnaa Uunchaa Ho Gayaa Hai
Falak Kii Vus-‘aton Ko Naaptaa Huun
(Qad : Stature; Falak : Heaven; Vus-‘at : Expansion; Naaptaa : Measure)
Vo Yuun Mujhko Bhulaanaa Chaahte Hain
Ke Jaise Main Bhii Ko-‘ii Haadisaa Huun
(Haadisaa : Event)
Badalte Mausamon Kii Diary Se
Tere Baare Men Aksar Puuchtaa Huun
Kisii Kii Yaad Ke Patton Ko -ŗaazer-
Havaaon Se Bachaa Kar Rakh Rahaa Huun
(Patte : Leaves)
Kafeel Aazer
Mulakaten To Bahut Hui Magar
Us Ne Samjhi Ankhon Ki Kasak
Ummed Karta Raha Woh Shayad Shabdon Ke Goonj Ki
Mein Karti Rahi Intezar Uski Palkon Ke Simatne Ka