Gharonde Ko Imaarat Mai Badal Ke To Dekh
Khwabon Ko Haqiqat Mai Badal Ke To Dekh
Pinjare Ki Salakhon Mai Hai Udne Ki Raah Bhii
Gulaamii Ko Bagaawat Mai Badal Ke To Dekh

Khud Hal Ho Jayengi Jindagii Kii Mushkilen
Khamoshii Ko Sawaalaat Mai Badal Ke To Dekh
Chattane Bhi Darkengi Inhii Hathon Ke Bharose
Aarzoo Ko Ibaadat Mai Badal Ke To Dekh
Andheri Raahon Mai Chamkegi Suuraj Ki Roshnii
Angoothe Ko Dustakhat Mai Badal Ke To Dkh
Honslaa Kum Naa Hogaa Teraa Tufan Ke Saamne
Mehnat Ko Aadat Mai Badal Ke To Dekh
Kadmon Ke Tale Hongii Khud Manjilen “Nutkhut’
Meri Baaton Ko Nasiihat Mai Badal Ke To Dekh