Ghamo Ke Saagar Se Baahar Nikle Bhi Na The
Ke Wo Hume Usme Aur Dubo Kar Chaldiye
Hum Apne Pyar Ka Izhaar Kar Bhi Na Sake
Ki Wo Pehle Hi Na Kar Kar Chal Diye
Pyar Ki Raaho Me Socha Tha saath Khushiyo Ke Deep Jalayenge
Par Wo Itne Bewafa Nikleki Dil Hi Jala Kar Chal Diye
Kehte The Kabhi Humse Kitum Meri Taqdeer Bankar Aayi Ho
Aaj Humse Muh Modkar Hamari Hi Taqdeer Badal Kar Chal Diye
Saath Me Reh Kar Pyar Kibasti Basayenge Ye Armaan Tha
Basti Basaana To Duur Ki Baatwo To Duniya Ujaad Kar Chal Diye
Dil Ke Jazbaat Jo Nikle Haal-E-Dil Bayaan Karne Ko
Wo Use Mehez Ek Taraana Keh Kar Chal Diye
Mera Bharam Ye Todkar Ki Wo Aayenge Ek Din
Intezaar Umar Bhar Ka In Aankho Me Saunp Kar Chal Diye
Unse Hum Gila-Shikwa Karein Bhi To Kya Fayeda
Jab Maut Aane Se Pehle Hi Kafan Pehna Kar Chal Diye