Gham Mire Phir Zabt Mera Aazmaane Aa Gaye
Ashk Kuchh Rishtey Puraane Phir Nibhaane Aa Gaye
Baat Hamney Kii Jo Rasman Bhii Haseeno Se Kabhii
Log Dekhiye Tohmate.N Ham Par Lagaane Aa Gaye

Aaiine Me.N Apna Chehra Tum Ne Dekha Hii Nahii
Ungliyaa.N Kyu.N Apni Auro.N Par Uthaane Aa Gaye?
Is Qadar Bhii Log Hain Berehm Socha Bhii Na Thaa
Zulm Kar Ke Zakhm Par Nishtar Chalaane Aa Gaye
Zindagi Bhar To Nahii Kii Qadr Mere Pyaar Kii
Mar Gayaa To Qabr Par Sham,E’n Jalaane Aa Gaye
Shaakh-E-Dil Se Phool Ban Kar Dard Kee Phootee Ghazal
Phir Lo Ah-Le-Bazm Taariife.N Lutaane Aa Gaye
Jab Kabhee Khoon-E-Jigar Se Main Ne Likkhee Hai Ghazal
Hamnisheen Mere Sabhee Bas Muskuraane Aa Gaye
Ilm Ham Ko Jab Huaa Gham Apna Hai Unki Khushii
Muskuraa Kar Ham Tabhi Phir Zakhm Khaane Aa Gaye
Laakh Chaaha Hamne Rukh Yaado.N Se Teri Modna
Beete Kuchh Berehm Lamhe Dil Dukhaane Aa Haye
Ham Ne Dekhee Hee Nahii Aa.Ngan Men Aisee Bhee Fizaa
Tum Jo Aaye Yoon Lagaa Mausam Suhaane Aa Gaye!
Haa.N Magar Apne Muqaddar Me.N Yeh Mausam Hee Na Tha
Tum Gaye , Din Zard Patjhar Ke Puraane Aa Gaye
Yu.N Rahe Apne Maraasim Haadso Se Umrabhar
Chaaha Dil , Khoon-E-Jigar Mera Bahaane Aa Gaye