Gham E Zindagi Mein Dubo Diya Jisne Hamein,
Beech Majhdaar Mein Chhod Diya Jisne Hamein,
Na Jaane Aaj Bhi In Aankhon Ko Uski Talaash Kyun Hai
Kyu Hai Woh Shaks Aaj Bhi Pyaar Ke Kaabil,
Kyu Hai Woh Shaks Aaj Bhi Is Dil Mein Shaamil,
Door Hote Hue Bhi Mujse Woh Aaj Bhi Mere Pass Kyu Hain
Nahi Samjah Pata Ulfat-E-Manzar Ko Main,
Na Hosh Hai Khud Ki Na Khabar Hai Khud Ki,
Par Phir Bhi Na Jaane Dil Mein Uska Ehsaas Kyun Hai
Bahut Mile Hai Log Is Duniya Mein Mujhe,
Bahut Apnaye Hai Rishte Is Duniya Mein Maine,
Na Jane Aaj Bhi Lagta Woh Rishta Khaas Kyun Hai
Toot Ke Gir Chukka Hu Jassi Ek Laash Ki Tarah,
Aur Shayad Ruk Si Gayi Hai Dhadkan Bhi Meri,
Par Na Jaane Is Jism Mein Baaki Abhi Bhi Saans Kyun Hai
Na Jaane Is Jism Mein Baaki Abhi Bhi Saans Kyun Hai