Gham-E-Ashqi Ne Mara Ho Jaise
Donon Jahan Koi Hara Ho Jaise
Kuch Der Chamak Kar Bhuj Giya Hoon
Toota Huwa Ik Sitara Ho Jaise
Ham Yoon Haq Jatate Hain Us Par
Janam Janam Se Hamara Ho Jaise
Ik Taire Jane Se Yoon Lag Raha He
Na Koi Sahara, Na Yara Ho Jaise
Saza Ke Liye Sar Tasleem-E-Kham He
Jo Jee Main Aye, Gawara Ho Jaise
Uski Talash Main Yoon Phir Raha Hoon
Gali Gali Ka Awara Ho Jaise
Hamen Bar Ha Ye Dhoka Huwa Ke
Palat Kar Kisi Ne Pukara Ho Jaise
Ye Dam Badam Maseebaton Ka Pahad
Irfan Ke Liye Hi Usara Ho Jaise.