Gham Andhera Hai Raushni Kya Hai
Mujh Se Mat Pooch Zindagi Kya Hay
Meri Qismat Hain Ashk Aur Aahein
Mujh Pe Manzil Ki Bandh Hain Raahein
Phir Bhi Marney Ka Jab Iraada Kya
Zindagi Ney Hi Thaam Lein Baahein
Aik Lamha Bhi Ek Sadi Sa Lagay
Gar Na Maloom Ho Khushi Kya Hai
Ay Mere Dost Zindagi Kya Hai
Ankh Yon To Sab Hi Ki Nam Hai Yahan
Jaise Sab Par Sawaar Gham Hai Yahan
Kaatni Hai Hayaat Jaise Katey
Gham Ziada Khushi Bhi Kam Hai Yahan
Aik Parbat Hai Mera Dil Ay Dost
Phir Bhi Ankhon Mai Ye Nami Kya Hey
Ay Mere Dost Zindagi Kya Hey
Apni Qeemat Gunwaye Baithe Hain
Kion Umeedein Lagaye Biathe Hain
Koi Bhi Murh Ke Dekhta Hi Nahi
Lafz Saray Hon Be-Asar Jaise
Koi Batlaye Dosti Kya Hai
Dashmanon Ne To Ju Kya So Kya
Doston Ne Bhi Ki Kami Kya Hay
Ay Mere Dost Zindagi Kya Hay
Rasm E Dunya Hai So Nibhate Chalein
Hal Dil Par Bhi Muskurate Chalein
Shayeri Se Ye Dil Lubhate Chalein
Mai Ne Likhi Hay Nazm Aahon Se
Raye Aye Dost Aap Ki Kya Hay