Ghair Se Be-Aabru Hone Ki Khuu-E-Dil Nahiin
Kyun Bhalaa Jaaun Wahan Jo Yaar Ki Mehfil Nahiin
Khuu-E-Dil = Dil Ka Aadaat
Haq Mohabbat Ka Karungaa Hashrr Ke Din Bhi Adaa
Saaf Keh Duungaa Khudaa Se Tu Mera Qaatil Nahiin
Hashr Ka Din = Qayamat Ka Din
Hum To Kar Letey Hain Ghazlon Se Ghalat Dil Ki Jalan
Voh Bhi To Jeete Hain Jinko Yeh Hunar Haasil Nahiin
Ghalat = Khatam
Kyun Naii’n Aate Jawaab-E-Khat Mein Paigaam-E-Kazaa
Ab Kyaa Hum Muflis Teri Nafrat Ke Bhi Qaabil Nahiin
Paigaam-E-Kazaa = Maut Ke Paigaam
Muflis = Gareeb
Dil Pe Kya Guzari Kahun Kya Uske Moonh Se Jab Suna
Raah Ka Patthar Hai “Maikash” Tu Meri Manzil Nahiin