Geron Se Kaha Tumne,Geron Se Sunna Humne
Kush Hum Se Kaha Hota,Kush Humse Sunna Hota
Ussne Ek Badshah Ko Khatt Likhe The.Par Koi Bhi Jabaab Na Aya Tha.
Usse Patta Tha Ke Jabaab Nahi Ayega Kion Ke
Wo Koi Khass Shakshiayat Nahi,Ek Aam Insaan Thi
Wo Ek Dubta Suraj Thi,Charte Suraj Ki Lalli Nahi Thi
Wo Ek Mujaya Phool Thi,Ek Khillti Kalli Nahi Thi
Pattjhar Ka Ek Dalli Ke Saath Nahi,Dalli Se Tutta Patta Thi
Mehkta Huya Gulshan Nahi Tha,Ek Sukka Hua Guldasta Thi
Rango Main Dubba Chaman Nahi,Khizan Chayi Hui Bahar Thi
Wo Pesse Wali Nahi,Ek Gareeb Insaan Thi
Jhopari Main Rahne Wali,Mahlon Ki Thekedar Nahi Thi
Uss Ki Tammna Thi Gareebon Ki,Himayat Karni
Gareebon Ka Sath Dena,Jehi Ek Usski Khatta Thi
Insaan Banne Ki, Koshish Ki Ussne Zindgi Main
Dhan Dulat Ki Nahi Thi Parwa Usse,Dil Se Apne Wo Amir Thi
Baadshah Jisse, Duniya Ki Sari Takat Hassal Thi
Uss Ki Nazron Main Wo Ek Mamulli Si ,Gareeb Si Insaan Thi
Aaj Usse Kush Bhooli Hui,Baate Yaad Aane Lagi Thi
Aaj Fhir Kush Wo Purani Yaade,Tarpane Lagi Thi
Ek Surat Jo Palkon Ke Pishe, Sadiyon Se Chupi Thi
Najne Kion Wo Surat,Aaj Yaad Aane Lagi Thi
Ek Baadshah Aur Rani Ki,Na Khatam Hui Khahani Thi
Dada Ji Ki Zubaani Thi,Wo Khahani Yaad Aane Lagi Thi