Gehraai-E-Ghazal Kaise Bataaiye
Mayna-E-Ashaar Kya Samjhaaiye
Zakhmon Ki Garmi Ko Jo Jaante Nahin
Unhe Sulagte Kalaam Kya Sunaaiye
Ab Jaane Wala Laut Kar Na Aayega
Ab Dil Ko Umeed Par Jeena Sikhaaiye
Aashiq-E-Gardan Hai Ye Jhuk Jaayegi
Haathon Mein Aap Khanjar To Utthaiye
Darjaa Rakhte Hain Ye Aansu Sharaar Ka
Jal Na Jaaye Aapka Daaman Bachaaiye
Aap Aur Wafaa Kya Baat Karte Hain
Idhar Zaraa Si Humse Nazar To Milaaiye
Aankh Bhar Ke Mujhko Dekh Lene Do
Shauq Se Phir Chahe Chale Jaaiye