Gaur Se Dekho To Har Shai Kuch Kehta Hai
Suraj Bhi Aksar Badalo Ki Aaghosh Mein Rehta Hai
Bijli Ke Garaj Ne Se Hi Barish Ho Ye Zaruri Nahi
Khushk Nigaho Se Bhi Samandar Behta Hai

Dharti Ho Ya Panchi Sab Hi Kathiyai Yo Se Guzarte Hai
Ek Tu Hi Nahi Insaan Jo Ghamo Ko Sehta Hai
Zaruri Nahi Sath Ho Yaar Ka Umr Bhar
Do Pal Khulusiyat Ke Bhi Jeevan Mehka Deta Hai
Nahi Shikwa Kamsin Takdeer Se Ab Koi
Bas Ajal Ka Intezar Hai Wo Kaise Ye Ruh Leta Hai