Garajnewale Badal Kabhi Baraste Nahin Yaro
Par Asman Barastebhi Hai To Badal Ke Garajneke Baad Hi Na Yaro
Kitna Fasla Hain Asman Aur Zameen Mein
Barishki Boondo Ko Zameen Par Pahuchne Mein, Koi Andaja Nahi Yaro
Par Jab Baraste Hain To Lagta Hain Koi Faasla Hi Nahin Yaro,
Zameen Bhi Pighalti Hain To Khushboonsi Chaa Jati Hain
Jis-Se Pura Alam Behosh Hota Hain Yaro …
Maykashi Ko Koi Punche Sharabka Daam,
To Kya Batayenga Woh Uska Daam Yaro…
Dam Botal Mein Bhari Sharab Ka Hain Yaha
Jam-E-Nashe Ka Kya Batayenga Daam Firoz Tumhe Yaro…
Kuch Lakire Khichta Firta Hain Who Kagaz Pe Bad Jiske,
Jo Khushi Aur Sukun Use Yeh Jidd-E-Haq Mein Milta Hain Yaro,
Us Shayri Ka Kya Batayenga Daam Firoz Tumhe Yaro