Gar Meri Jindgi Me Aao To
Kuchh Aahista Or Dabe Paanw Aana
Suno Mai Khidkiyaan Kholkar Sota Hoon
Kuchh Lutne Ka Dar Nahi Mujhko
Mai Jab Sota Hoon Mera Dard Pehra Deta Hai
Tum Aane Se Pehle Dastak Na Lagana
Gar Meri Jindgi Me Aao
Kuchh Dhoop Apne Saath Me Laana
Yahaan Mahaul Kuchh Sard Ho Chala Hai
Meri Deewaaron Ki Daraarein Bhi Ab
Mere Chehre Se Aa Mili Hain
In Deewaaron Ki Seelan Ko
Apni Muskuraahaton Se Garmaana
Gar Meri Jindgi Me Aao
Apni Paadukaaen( Sandals) Baahar
Dupatta Sar Pe Rakh Lena
Tumhaare Paanw Laak Komal Sahi
Mai Pujta Hoon Apne Daayron Ko
Mandir Ki Tarah
Meri Bhawnaaen Meri Dehleez Pe Rakkhi Hai
Dekho Inhe Thokar Na Lagana
Gar Meri Jindgi Se Jaana Chaho
Mumkin Hai Dard Ho Tumhe Is
Dard Me Muskuraane Me
Gar Ye Seelan Tumhe Raas Na Aaye
Mai Darwaaje Bhi Khol Ke Sota Hoon
Tum Bas Baahar Se Inhe Band Kar Jaana