Gali Ke Mod Pe Baithi Hui Budhi Amma,
Kabhi Kisi Se Kuch Bhii Nahi Kehti Lekin,
Hijaab Pehne Aise Sar Ko Jhuka Deti Hain,
Jaise Jurm-E-Muflisi Qubool Karti Ho,
Kayee Ghanton Su-E-Sang Baithne Ke Baad
Khuda Kaa Shukra Adaa Karne Lag Jaati Hain.
Unko Pur-Khuloos Adaab Pesh Karne Par,
Meine Poocha Uss Buzurg Se Ke Aye Amma
Kis Baat Kaa Shukr-E-Khuda Bajaati Ho
To Apna Thar Tharaata Haath Badha Kar Usne,
Dikhaya Mujhko Bass Ek Chamakta Sikaa,
Aur Larazte Hue Lehje Mein Kaha Ussne,
Khuda Ne De Hii Diya Aaj Bhi Ekk Chaand Mujhe
Naa Salaam Naa Dua Naa Kuch Kaha Meine,
Bass Ekk Soch Ne Kaboo Sa Kar Liya Mujhko,
Ke Harr Insaan Ke Chaand Mukhtalif Honge,
Kahin Roti Mein Chaand Hai, To Kahin Sikke Mein
Uss Din Se Apni Mehbooba Ke Chehre Ko,
Mein Kabhi Chaand Naa Kahoonga Yeh Soch Liya…
Aur Ik Aah Ke Baad Kaha Iss Dil Ne
Aye Khuda Inn Ko Innke Chaand Mustakil Dena…
Meanings:-
Jurm-E-Muflisi = Crime Of Poverty
Su-E-Sang= Like Stone.
Pur-Khuloos= Saadar Praraam
Buzurg=aged.
Mukhtalif=different.
Mustakil=foreve