Gai Mosam Mein Jo Khiltey Thay Gulaaboun Ki Tarah
Dil Pe Uttrengey Wohi Khwaab Azaaboun Ki Tarah
Raakh Ke Dhair Pe Ab Raat Basar Karni Hey
Jal Chukey Hein Merey Khaimey, Merey Khwaaboun Ki Tarah
Kya Karein Ab Tujh Se Hum Tark-E-Taalluq Ka Gila
Zehar Jab Peena He Thehra, Zaiqa Jesa Bhi Ho
Apni Qismat Ki Lakiroun Per Nahee Jab Ikhtiyaar
Faisla Taqdeer Ka Achha Bura Jesa Bhi Ho
Hum Se Ek Baar Bhi Jeeta Hai Na Jeetega Koye
Woh Tou Hum Jaan Ke Kha Letey Hein Maatein Aksar
Un Se Poocho Kabhi Chehrey Bhi Parhey Hein Tum Ne
Jo Kitaaboun Ki Kya Kartey Hein Baatein Aksar
Merey Saath Chalney Waley Tujhey Kya Mila Safar Mein
Wohi Dukh Bhari Zameen Hey Wohi Gham Ka Asmaan Hey
Inhee Raastoun Ne Jin Per Kabhi Tum Thay Merey Saath
Mujheu Rok Rok Ke Poocha Tera Hamsafar Kahaan Hey