Footi Aankh Suhate Hai Sawan Ke Rang
Andhe Ko Bhi Lubate Hai Sawan Ke Rang
Bhadke Huwe Armanon Ko Sehlane Pyar Se
Barish Banke Aate Hai Sawan Ke Rang
Sahara Ki Tapti Ret Pe Barase Toh Wahan
Chaman Se Khil Jaati Hai Sawan Ke Rang
Kheton Ke Mast Seenon Mein Fasale Bahar Ke
Zindagi Ke Geet Gate Hai Sawan Ke Rang
Bakshi Hai Isne Dhaur Ko Jeene Ki Dhadkane
Saanson Mein Muskrate Hai Sawan Ke Rang
Nadiyon Ke Geet Gaa Rahe Hai Nagme Suhag Ke
Dulhan Se Sharmate Hai Sawan Ke Rang
Kabhi Kabhi Holi Pe Bhi Barasta Hai Paani
Kabhi Kabar Satate Hai Sawan Ke Rang
Chupa Ke Chand Ko Ghatawon Pe Likh Tu “Roja”
Mausam Ko Aajmate Hai Sawan Ke Rang.