Fiqr Mein Har Kisi Ki, Jaltei Rahei Hum
Mom Ko Sang Karne Mein, Ghulte Rahe Hum
Raah-E-Wafa Ko Gulon Sei Sajaane Ko
Hathon Ko Lahuu Sei Roj, Rangte Rahe Hum
Barbaadi Meri Zaahir Naa Ho Iss Zidd Mein
Taa-Umr Gir Gir Kar, Sambhalte Rahe Hum
Aah Uthi, Hayaat Maut Se Takrayegi Dekhna
Par Unke Zulm Ki Hadd Se Guzarte Rahe Hum
Bheegi Palakon Pe Gayi Rutein Theen *Larzaan
Khizaan Mein Baharon Ko Dhuundte Rahe Hum
[Color=dark Green]trembling [/color]
Kaun Jaane *Ulfat-E-Derriina Yaad Aaye Na Aaye
*Lek, Ishq Ki Be-Ikhtiyaari Pe, Jhukte Rahe Hum
[Color=dark Green]past Love
But[/color]