Faslay Ko Samjho Tum
Fasla Haqiqat Hai
Baqi Sub Faani Hai
Yaqeen Kay Nager Mien Bhi
Vasvasay He Peltay Hien
Derd Ki Khlijon Ko
Waqat Paat Deita Hai
Bohat Si Salibon Ko
Saber Kaat Deitahay
Titlion Kayhonton Pey
Mosmon Kay Nagmay Bhi
Querbaton Aur Manzilon
Aur Qeqahon Kay Peechay Bhi
Aik He Kahani Hay
Aankh He Ka Pani Hai
Aanay Aur Jaany Kai
Faslay Mien Rehtay Ho
Tum Apni Aankh Say
Bay-Sabub He Behtay Ho
Faslay Ko Samjho Tum
Fasla Haqiqat Hai
Baqi Sub Faani Hai