Faqat Aik Hasee.N Sahara Chahiye,
Mujhe Zindagi Main Kinara Chahiye.
Ladta Rahoonga Tufaano.N Se Magar,
Ghar Lautne Ka Bhi Bahana Chahiye.
Thaka Parinda Shaam Jab Laut Ta Hai,
Use Bhi Apna Aashiyaana Chahiye.
Rahe Mehfooz Mera Pyar Jahaa.N,
Ik Aisa Dil-E-Aashiqana Chahiye.
Chaand Se Hai Bas Mujhko Pyar
Aasmaa.N Pe Na Koi Tara Chahiye.
Hamein To Pata Hai Anjam-E-Aashiqui,
Tumhein Samajhne Ko Zamana Chahiye.
Khafa Mujhse Rehta Hai Mera Sanam,
Khwabo.N Main To Use Aana Chahiye.
Choti Si Umr Nahi.N Ladne Ki Yaro.N,
Dushmani Jahaa.N Se Mitana Chahiye.
Mufliso.N Ko Mitane Chala Hai Zalim,
Muflisi Ko Use Mitana Chahiye.
Oonche Hue Kirdar Se Girte Chale Gaye,
Hamein To Kirdar Banana Chahiye.
Manzil Dekh Paao.N Ke Chaale Na Dekh,
Manzil Par Hi Aaraam Farmana Chahiye.
Khushiyaa.N Hain To Gham Bhi Raheinge Sada,
Phoolo.N Ki Tarah Jeena Aana Chahiye.
Mandir Masjid Ka Jhagda Khatm Karo,
Ab Faisla Koi Aadilaana Chahiye.
Apne Liye Kiya To Kya Kamaal Hai
Kisi Ghareeb Ka Ghar Banana Chahiye.
Dard Ka Dard Dard Wale Se Poonch,
Andaaza-E-Dard Tujhe Bhi Rehna Chahiye.
Matla Arz Kar Raha Hoon,
Tanz Karna Kitna Aasaa.N Hai ‘Adil’
Apna Muhasiba Bhi Karte Rehna Chahiye.
Muhasiba—Accountability