Falsafi Ko Dey-Dey Koi Likhne Key Liye
Hazaro Dil Hain Bazar Mein
Bikney Key Liye
Sauda Nahi Kartey Saudai Ankhon Kai
Inko Sadiyan Lagti Hain
Kissi Cheez Per Tikney Key Liye
Lakhon Cheezain Hain In Badnaam Galiyon Mein
Zamaney Ki Bas Ek Nazar Chahiye
Kissi Cheez Ki Kharidaari Nahi Hamarey Ashiyaney Mein
Baat Barhaney Ki Bas Ek Khabar Chahiye
Sharab Pee Key Hosh Mein Rehna, Asaan Nahi
Iskey Liye Jigar Chahiye
Jog Lagey Ga Bhee To Kaisey
Dil Humko Idhar Chahiye
Aiyna-E-Dil Bikta Hai Bazaron Mein
Deikho To Hosla Khareedaar Ka
Deikhey Ga Chehra Apna Dil Ki Dewaaron Mein
Mil Jaey Koi Azm-E-Wafa Karney Wala
Wo To Miltey Hain Ek Hazaron Mein
Zamana Kitna Bigar Gaya Hai
Ab To Log Bhee Biktey Hain Khareedaron Mein
Milta Hai Ek Hi Moti
Kai Samundar Key Kinaron Mein
Hum Logon Ki Aiysii Owqaat Hoti Hai
Dhundney Sey Bhee Nahi Milta Wafadaar Koi
Kaee Wafadaaron Mein