Falak*Aur Samandar Ke Milan Ufaaqon*Main Dekhne Ko Mila
Suraj Aur Chaand Ko Gale Lagaate Houe Kissko Dekhne Ko Mila
Tera Mera Milna Jeisse Ek Dariye Ke Do Kinaaron Ka Milna Tha
Raftaar-E Leher Main Mujhe Ek Pyaar Ke Lash Bahaane Ko Mila
Apni Hi Wafaaon Ke Badle Mujh Kaafir Se Tamanna Aur Kya Thi
Kayi Muddatton Ke Baad Tere Masoom Dil Doukhaane Ko Mila
Jane Keissi Tishnagi*Thi Jo Aab-E Hayaat*Pikar Bhi Anboujh Rahi
Isse Boujhane Ko Aakhir Teri Hi Neer-E Ishq*Jazb Karne*Ko Mila
Yahan Harjaai Shayad Hi Hai Koyi, Ishq Pe Marne Wale Hein Sabhi
Meherbani Hai Meri Jo Aapko Ek Deedaar-E Bewafaa Karne Ko Mila
Iss Bhari Mehfil Main Chahe Wah Wah Mile Ya Na Mile -ŗamanush-
Tujhe Apne Hi Naam-E Bewafaai Par Kouch Shayri Likhne Ko Mila