Faansle Itne Badha De Ke Mit Na Payen Kabhi
Dewaaren Aisee Bana De Ke Hat Na Payen Kabhi
Apne Haathon Ki Lakeeron Se Faink De Mujhko
Raaste Per Aise Chala De Ke Palat Na Payen Kabhi
Phir Apne Ghar Mein Khushiyon Ki Shamme Jala Le
Mujhse Behtar Ho Koi Aisa Humsafar Banaa Le
Apne Maazi Ki Qafas Mein Dafan Ker De Mujhe
Jeete Ji Na Phir Meri Yaad Kabhi Aaye Tujhe
Teri Aawaaz Bhee Sunne Ko Taras Jaaun Mai
Kuch Bhee Aisa Ker Ke Tujhtak Vapas Na Aaun Mai
Phir Teri Aankhe Mere Khawabon Ki Muntzir Na Rahen
Phir Tere Sawaal Mere Jawaabon Ke Muntzir Na Rahen
Bas Teri Khushi Ke Liye Do Tuqda Zindgi Jee Lunga
Magar Yaad Rahe Ek Shabnami Raat Ko Jab Ye Aankhen
Band Hone Lagengi, Zindgi Ke Chiraag Madum‚  Hone Lagenge